1. Wo bewafa hai to kya, mat kaho bura usko
Ki jo hua so hua, khush rakhe khuda usko
Nazar naa aaye to uski talaash mein rahna
Kahin mile to palat kar naa dekhna usko
Wo saada khoon tha zamane ke kham samajhta kya
Hawa ke saath chala, le udi hawa usko
Wo apne baare mein kitna hai khushguma dekho
Jab usko main bhi naa dekhoon to dekhna usko
Wo bewafa hai to kya, mat kaho bura usko
Ki jo hua so hua, khush rakhe khuda usko.
2. Kuch der ki khamoshi hai phir kano me shor aayega
tumhara sirf waqt hai hamara dour aayega
3. hum apni jaan ke dushman ko jaan kahte hai
mohabbat ki isi mitti ko hindustan kahte hai
4. raaz jo kuch ho ishaaro me bata bhi dena
hath jb usse milana to daba bhi dena ..
No comments:
Post a Comment